कुल पेज दृश्य

बुधवार, 28 अप्रैल 2010

ग़ज़ल

vaqt kaise gujar raha hoga
jane manjar shazar ka kya hoga

unghati hui hawa ke kanon me
phool ne fir se kuch kaha hoga

kale badal agar nahi honge
kitna tanha ye asman hoga

bah rahi hogi nadi vaise hi
aur vaise hi pul khada hoga

dil me yaden sulag rahi hongi
uska chehara dhuan dhuan hoga

raat bhar intezar me jal kar
rafta rafta diya bujha hoga

ek talashi ho uske khwabon ki
uska kissa tabhi bayan hoga.

1 टिप्पणी: